Badalna aata nahi humko mausamo ki tarah
Har ek roop main tera intezar karte hain
Na tum sameet sakogi jise qayamat tak
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.
********************************************************
Woh mil jatey hain kahani bankar
Dil mein bas jatey hain nishani bankar
Jinhe hum rakhte hain apni aakhon main
Kyun nikal jatey hain woh pani bankar!!
*******************************************************
Usko Chaha Bhi To Iqrar Na Karna Aaya
Kat Gayi Umer,Humein Pyar Na Karna Aaya
Usne Manga Bhi to humse Judai Mangi
Aur Ek Hum Thay K Inkaar Na Karna Aaya
******************************************************
Khiayalo ko kisi aahat ki aas rehti hai
Nigaahon ko teri talaash rehti hai
Tere bina koi kami nahi lekin
Tere baghair tabiyat udaas rehti hai
*****************************************************
Jab tanhai me aapki yaad aati hai,
Hontho pe ek hi fariyad aati hai...
Khuda aapko har khushi de,
Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai..
No comments:
Post a Comment